From my friend –
Teri himmat hee kuch aisi hai
——————————————————————
Ki har Rog haar jaaye
Tera hausla kuch aisa hai
Ki har ilaaj kamyaab ho jaaye
Tu khud ko sambhal
Hum bhagwan ko sambhal lenge
Haath tu apne taaqat se utha
Hum apne dua mein uthaye rakhenge
Haath uthakar maangu kya
——————————————————————-
Tu toh jaanta sab hai
Tere liye mushkil kya
Tu hum sab ka rab hai!
Apne liye maanga bahut
Ab na kuch aur chahiye
Dost ke liye dua karte hain
Arziyan yeh darj honi chahiye!
Haath jaise bhi uthein hon
Maangi ek hee dua hai
Lamhe kuch hamari zindagi ke
Kisi aur zindagi mein jodne hain!
Teri kis baat ki tareef karun
Tu har baat mein maahir hai
Aisa kuch tu hee bata jo
Tere pahunch se bahar hai
Tu bitiya Ranganathan ki pyaari
Seetha ki dulari
Behna tu Aparna ki
Aur Shayamala ki bhai
Dosti ke tere kya kehne
Hum sab uske gawaah hain
Tujhse dosti ki baad
Humein kuch bolne ka mauka mila hee kaha
Pyaar Tera ek misaal hai
Laila majnu pehle
Shirin Farhad uske baad
Robin ko tere alava aur kya hai yaad
Maa ka kirdaar bhi tera aisa hai
Ki jo tune seetha se seekha
Uska dugna roop tune
Do betiyon mein diya
IT professional hai tu
Aadhi doctor hai tu
Cook bhi tu
Ab writer bhi tu
Tere aage kya alfaaz mere
Tu toh multi talented hai
Aisa kuch tu hee bata jo
Tere pahunch se bahar hai